KHak hairat hai kahkashan hairat
ḳhaak hairat hai kahkashāñ hairat
aur donoñ ke darmiyāñ hairat
chand ashyā ke naam sikhlā kar
baḳhsh dī tū ne jāvedāñ hairat
hotā jaatā hai aadmī būḌhā
hotī jaatī hai par javāñ hairat
hairat-angezī-e-vujūd na pūchh
zor-e-ḳhūñ tauq-e-ustuḳhvāñ hairat
KHak hairat hai kahkashan hairat
aur donon ke darmiyan hairat
chand ashya ke nam sikhla kar
baKHsh di tu ne jawedan hairat
hota jata hai aadmi buDha
hoti jati hai par jawan hairat
hairat-angezi-e-wujud na puchh
zor-e-KHun tauq-e-ustuKHwan hairat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.