KHak hun etibar ki saugand
ḳhaak huuñ e'tibār kī saugand
muztarib huuñ qarār kī saugand
misl-e-ā.īna pāk-bāzī meñ
saaf dil huuñ ġhubār kī saugand
hauz-e-kausar siiñ pyaas bujhtī nahīñ
us lab-e-ābdār kī saugand
mo'tabar nahīñ jamāl zāhir kā
gardish-e-rozgār kī saugand
zindagī ai 'sirāj' mātam hai
mujh kuuñ sham-e-mazār kī saugand
KHak hun e'tibar ki saugand
muztarib hun qarar ki saugand
misl-e-aina pak-bazi mein
saf dil hun ghubar ki saugand
hauz-e-kausar sin pyas bujhti nahin
us lab-e-abdar ki saugand
mo'tabar nahin jamal zahir ka
gardish-e-rozgar ki saugand
zindagi ai 'siraj' matam hai
mujh kun sham-e-mazar ki saugand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.