KHak mein jab milaya jaunga
ḳhaak meñ jab milāyā jā.ūñgā
gūñdh kar phir se laayā jā.ūñgā
gir gayā huuñ tumhāre juuḌe se
ab kahāñ par sajāyā jā.ūñgā
ek dīvār kī hai vahshat dhuup
aur maiñ saayā saayā jā.ūñgā
ghar kā matlab badalne vaalā hai
tere ghar meñ bulāyā jā.ūñgā
shahr se ishq kartā huuñ maiñ 'azīz'
dasht meñ kyuuñ basāyā jā.ūñgā
KHak mein jab milaya jaunga
gundh kar phir se laya jaunga
gir gaya hun tumhaare juDe se
ab kahan par sajaya jaunga
ek diwar ki hai wahshat dhup
aur main saya saya jaunga
ghar ka matlab badalne wala hai
tere ghar mein bulaya jaunga
shahr se ishq karta hun main 'aziz'
dasht mein kyun basaya jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.