aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHak nind aae agar dida-e-bedar mile

Saqi Faruqi

KHak nind aae agar dida-e-bedar mile

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    ḳhaak niiñd aa.e agar dīda-e-bedār mile

    is ḳharābe meñ kahāñ ḳhvāb ke āsār mile

    us ke lahje meñ qayāmat fusūñ-kārī thī

    log āvāz lazzat meñ giraftār mile

    us āñkhoñ meñ mohabbat ke diye jalte raheñ

    aur pindār meñ inkār dīvār mile

    mere andar use khone tamannā kyuuñ hai

    jis ke milne se mirī zaat ko iz.hār mile

    ruuh meñ reñgtī rahtī hai gunah ḳhvāhish

    is amarbel ko ik din koī dīvār mile

    KHak nind aae agar dida-e-bedar mile

    is KHarabe mein kahan KHwab ke aasar mile

    us ke lahje mein qayamat ki fusun-kari thi

    log aawaz ki lazzat mein giraftar mile

    us ki aankhon mein mohabbat ke diye jalte rahen

    aur pindar mein inkar ki diwar mile

    mere andar use khone ki tamanna kyun hai

    jis ke milne se meri zat ko izhaar mile

    ruh mein rengti rahti hai gunah ki KHwahish

    is amarbel ko ek din koi diwar mile

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHak nind aae agar dida-e-bedar mile Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque

    KHak nind aae agar dida-e-bedar mile Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now