Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHak oDhe hue ek KHwab ki tabir ka dukh

Zarrin Munavvar

KHak oDhe hue ek KHwab ki tabir ka dukh

Zarrin Munavvar

MORE BYZarrin Munavvar

    ḳhaak oḌhe hue ik ḳhvāb ta.abīr dukh

    us ko khā jā.egā ik din merī tash.hīr dukh

    tum ne zindāñ meñ faqat merī asīrī dekhī

    ab dilā dekh zarā paaoñ zanjīr dukh

    jis ne kaaTā hai javānī meñ buḌhāpe safar

    aa batātī huuñ tujhe haa.e mire viir dukh

    vaqt-e-ruḳhsat vo jo palkoñ meñ chhupāyā tum ne

    dil meñ ab tak bhī javāñ hai usī ik niir dukh

    ishq meñ ḳhaak jo chhānoge samajh jāoge

    būḌhe bargad ke tale baiThe hue piir dukh

    haañ vahī jhang jahāñ vang ke charche haiñ bahut

    par mere dil meñ nihāñ rahtā hai ik hiir dukh

    varna sheroñ meñ tire maut vahshat hogī

    haa.e tujh ko na lage 'mīr' taqī 'mīr' dukh

    vo jo pal pal rahā masrūf ki maiñ gir jā.ūñ

    kaise sah pā.egā 'zarrīñ' mirī ta.amīr dukh

    KHak oDhe hue ek KHwab ki tabir ka dukh

    us ko kha jaega ek din meri tashhir ka dukh

    tum ne zindan mein faqat meri asiri dekhi

    ab dila dekh zara paon ki zanjir ka dukh

    jis ne kaTa hai jawani mein buDhape ka safar

    aa batati hun tujhe hae mere wir ka dukh

    waqt-e-ruKHsat wo jo palkon mein chhupaya tum ne

    dil mein ab tak bhi jawan hai usi ek nir ka dukh

    ishq mein KHak jo chhanoge samajh jaoge

    buDhe bargad ke tale baiThe hue pir ka dukh

    han wahi jhang jahan wang ke charche hain bahut

    par mere dil mein nihan rahta hai ek hir ka dukh

    warna sheron mein tere maut si wahshat hogi

    hae tujh ko na lage 'mir' taqi 'mir' ka dukh

    wo jo pal pal raha masruf ki main gir jaun

    kaise sah paega 'zarrin' meri tamir ka dukh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now