KHak uDate hue ye marka sar karna hai
ḳhaak uḌāte hue ye ma.arka sar karnā hai
ik na ik din hameñ is dasht ko ghar karnā hai
ye jo dīvār añdheroñ ne uThā rakkhī hai
merā maqsad isī dīvār meñ dar karnā hai
is liye sīñchtā rahtā huuñ maiñ ashkoñ se use
ġham ke paude ko kisī roz shajar karnā hai
terī yādoñ kā sahārā bhī nahīñ hai manzūr
umr bhar ham ko akele hī safar karnā hai
KHak uDate hue ye marka sar karna hai
ek na ek din hamein is dasht ko ghar karna hai
ye jo diwar andheron ne uTha rakkhi hai
mera maqsad isi diwar mein dar karna hai
is liye sinchta rahta hun main ashkon se use
gham ke paude ko kisi roz shajar karna hai
teri yaadon ka sahaara bhi nahin hai manzur
umr bhar hum ko akele hi safar karna hai
- Book : Mehrab-e-ishq (Pg. 20)
- Author : Azm Shakrii
- Publication : Lamhe Lamhe Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.