Khaali paDe the jam nahin dekh pae hum
ḳhālī paḌe the jaam nahīñ dekh paa.e ham
itnī udaas shaam nahīñ dekh paa.e ham
ham par the munhasir ka.ī nākām ishq bhī
apnā thā jo bhī kaam nahīñ dekh paa.e ham
karnā thā ehtimām-e-qazā zer-e-zindagī
itnā bhī intizām nahīñ dekh paa.e ham
vo lab ki jin kā zikr hamesha laboñ pe thā
un par hī apnā naam nahīñ dekh paa.e ham
vo jo ḳhumār-e-mīr se ham ko ubhār le
aisā koī kalām nahīñ dekh paa.e ham
KHali paDe the jam nahin dekh pae hum
itni udas sham nahin dekh pae hum
hum par the munhasir kai nakaam ishq bhi
apna tha jo bhi kaam nahin dekh pae hum
karna tha ehtimam-e-qaza zer-e-zindagi
itna bhi intizam nahin dekh pae hum
wo lab ki jin ka zikr hamesha labon pe tha
un par hi apna nam nahin dekh pae hum
wo jo KHumar-e-mir se hum ko ubhaar le
aisa koi kalam nahin dekh pae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.