KHam hai meri mohabbat warna ye aalam na ho
ḳhaam hai merī mohabbat varna ye aalam na ho
vo ḳhalish bhī kyā ḳhalish hai dil meñ jo paiham na ho
rāz-e-sar-basta na khul jaa.e hañsī ke ba.ad bhī
un kī mahfil meñ koī fitrat-shanās-e-ġham na ho
de sake ab tak na dastūr-e-vafā tartīb tum
kyā ruke dīvār jab buniyād mustahkam na ho
jaate jaate bazm-e-ahl-e-ġham pe ho ye bhī karam
aap is andāz se uTheñ ki ye barham na ho
kaun kho.e zarf apnā varna ai pīr-e-muġhāñ
mere sāġhar meñ bhī mai zauq-e-talab se kam na ho
jab bhī aa.e zaḳhm-e-dil ko aur taaza kar ga.e
aise ġham-ḳhvāroñ se behtar hai koī hamdam na ho
is gumāñ ko bhī nazar-andāz kar sakte nahīñ
muntahā-e-irtiqā barbādi-e-ālam na ho
KHam hai meri mohabbat warna ye aalam na ho
wo KHalish bhi kya KHalish hai dil mein jo paiham na ho
raaz-e-sar-basta na khul jae hansi ke baad bhi
un ki mahfil mein koi fitrat-shanas-e-gham na ho
de sake ab tak na dastur-e-wafa tartib tum
kya ruke diwar jab buniyaad mustahkam na ho
jate jate bazm-e-ahl-e-gham pe ho ye bhi karam
aap is andaz se uThen ki ye barham na ho
kaun khoe zarf apna warna ai pir-e-mughan
mere saghar mein bhi mai zauq-e-talab se kam na ho
jab bhi aae zaKHm-e-dil ko aur taza kar gae
aise gham-KHwaron se behtar hai koi hamdam na ho
is guman ko bhi nazar-andaz kar sakte nahin
muntaha-e-irtiqa barbaadi-e-alam na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.