KHamosh dhaDkanon ki sada ki kise KHabar
ḳhāmosh dhaḌkanoñ kī sadā kī kise ḳhabar
va.ade bahut kiye the vafā kī kise ḳhabar
ḳhvāhish gunāh hai to gunahgār maiñ bhī huuñ
haiñ jurm be-hisāb sazā kī kise ḳhabar
kahte haiñ aadmī meñ ḳhudā.ī kā aks hai
bande haiñ be-niyāz ḳhudā kī kise ḳhabar
saarā jahāñ marīz, maraz bhī hai lā-ilāj
pahchāne kaun dard davā kī kise ḳhabar
shāyad savāb tum ko bhī mil jaa.e sab ke saath
sajde meñ gir bhī jaao duā kī kise ḳhabar
KHamosh dhaDkanon ki sada ki kise KHabar
wade bahut kiye the wafa ki kise KHabar
KHwahish gunah hai to gunahgar main bhi hun
hain jurm be-hisab saza ki kise KHabar
kahte hain aadmi mein KHudai ka aks hai
bande hain be-niyaz KHuda ki kise KHabar
sara jahan mariz, maraz bhi hai la-ilaj
pahchane kaun dard dawa ki kise KHabar
shayad sawab tum ko bhi mil jae sab ke sath
sajde mein gir bhi jao dua ki kise KHabar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.