KHamosh hain KHamosh magar dekh rahe hain
ḳhāmosh haiñ ḳhāmosh magar dekh rahe haiñ
ham dekhne vāloñ kī nazar dekh rahe haiñ
tārīk fazāo meñ bhī jugnū koī chamkā
aaj apnī duāoñ kā asar dekh rahe haiñ
kyā baat hai kyā raaz bane kyā ho gayā āḳhir
kyoñ aap ko bā-dīda-e-tar dekh rahe haiñ
ḳhud maut se Takrāne kā jin ko hai salīqa
mar ke bhī vo apne ko amar dekh rahe haiñ
dekhā na hameñ muḌ ke bhī ik baar kisī ne
ham shauq se tā-hadd-e-nazar dekh rahe haiñ
kyā jāniye is raah se kab un kā guzar ho
muddat se magar rāhguzar dekh rahe haiñ
KHamosh hain KHamosh magar dekh rahe hain
hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain
tarik fazao mein bhi jugnu koi chamka
aaj apni duaon ka asar dekh rahe hain
kya baat hai kya raaz bane kya ho gaya aaKHir
kyon aap ko ba-dida-e-tar dekh rahe hain
KHud maut se Takrane ka jin ko hai saliqa
mar ke bhi wo apne ko amar dekh rahe hain
dekha na hamein muD ke bhi ek bar kisi ne
hum shauq se ta-hadd-e-nazar dekh rahe hain
kya jaaniye is rah se kab un ka guzar ho
muddat se magar rahguzar dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.