KHamosh hun main lab pe shikayat to nahin hai
KHamosh hun main lab pe shikayat to nahin hai
Sabeela Inam Siddiqui
MORE BYSabeela Inam Siddiqui
ḳhāmosh huuñ maiñ lab pe shikāyat to nahīñ hai
fariyād karūñ ye mirī aadat to nahīñ hai
jo mauj-e-ġham-o-dard uThī hai mire dil meñ
hañgāma to be-shak hai qayāmat to nahīñ hai
shāyad mujhe mil jaa.e mire dard kā darmāñ
ummīd sahī chain kī hālat to nahīñ hai
fursat meñ mujhe yaad bhī kar lījiye ik din
ye arz mohabbat kī alāmat to nahīñ hai
mil jaa.e sar-e-rāh kisī moḌ pe koī
ik hādsa be-shak hai rifāqat to nahīñ hai
insāf jise haq kā taraf-dār kaheñ sab
is mulk meñ qaa.em vo adālat to nahīñ hai
kyuuñ ghar se nikalte hue Darte haiñ yahāñ log
is shahr meñ qānūn-e-hifāzat to nahīñ hai
allāh razā par tirī raazī hī rahūñgī
ho shikva zabāñ par ye jasārat to nahīñ hai
ābād rahā dil meñ vahī ek 'sabīla'
ab ġhair ko aane kī ijāzat to nahīñ hai
KHamosh hun main lab pe shikayat to nahin hai
fariyaad karun ye meri aadat to nahin hai
jo mauj-e-gham-o-dard uThi hai mere dil mein
hangama to be-shak hai qayamat to nahin hai
shayad mujhe mil jae mere dard ka darman
ummid sahi chain ki haalat to nahin hai
fursat mein mujhe yaad bhi kar lijiye ek din
ye arz mohabbat ki alamat to nahin hai
mil jae sar-e-rah kisi moD pe koi
ek hadsa be-shak hai rifaqat to nahin hai
insaf jise haq ka taraf-dar kahen sab
is mulk mein qaem wo adalat to nahin hai
kyun ghar se nikalte hue Darte hain yahan log
is shahr mein qanun-e-hifazat to nahin hai
allah raza par teri raazi hi rahungi
ho shikwa zaban par ye jasarat to nahin hai
aabaad raha dil mein wahi ek 'sabila'
ab ghair ko aane ki ijazat to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.