KHamoshi ki qirat karne wale log
ḳhāmoshī kī qir.at karne vaale log
abbū-jī aur saare marne vaale log
raushniyoñ ke dhabbe un ke biich ḳhalā
aur ḳhalāoñ se ham Darne vaale log
miTTī ke kuuze aur in meñ saañs kī lau
rab rakkhe ye bartan bharne vaale log
mere chāroñ jānib ūñchī ūñchī ghaas
mere chāroñ jānib charne vaale log
āḳhir jism bhī dīvāroñ ko sauñp ga.e
darvāzoñ meñ āñkheñ dharne vaale log
KHamoshi ki qirat karne wale log
abbu-ji aur sare marne wale log
raushniyon ke dhabbe un ke bich KHala
aur KHalaon se hum Darne wale log
miTTi ke kuze aur in mein sans ki lau
rab rakkhe ye bartan bharne wale log
mere chaaron jaanib unchi unchi ghas
mere chaaron jaanib charne wale log
aaKHir jism bhi diwaron ko saunp gae
darwazon mein aankhen dharne wale log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.