KHamoshi ki ramz sujha
ḳhāmoshī kī ramz sujhā
bol rahā hai boltā jā
Tek lagā ham aisoñ se
dīvāroñ kā maan baḌhā
ḳhaak hue darbāroñ kī
yaktā.ī kā giit sunā
chīḳh sunī darvāzoñ kī
jaise kahte hoñ mat jā
habs kī ḳhātir kamre meñ
zindānī kā ism paḌhā
haath kaTe is bastī meñ
kurtā līr-o-līr huā
ronā hai to khul kar ro
rone vaalī shakl banā
ishq huā bīmārī se
āseboñ kā rizq khulā
KHamoshi ki ramz sujha
bol raha hai bolta ja
Tek laga hum aison se
diwaron ka man baDha
KHak hue darbaron ki
yaktai ka git suna
chiKH suni darwazon ki
jaise kahte hon mat ja
habs ki KHatir kamre mein
zindani ka ism paDha
hath kaTe is basti mein
kurta lir-o-lir hua
rona hai to khul kar ro
rone wali shakl bana
ishq hua bimari se
aasebon ka rizq khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.