KHamoshi teri chiKH se ye bhed khula hai
ḳhāmoshī tirī chīḳh se ye bhed khulā hai
sannāTe se bhī lipTī huī koī sadā hai
ai zauq-e-nazar dekh tire sāmne kyā hai
kohna hī sahī aañkh pe manzar to nayā hai
vo chāñd na niklā to sitāre bhī the gum-sum
sūraj bhī bahut der se bedār huā hai
chal tujh ko liye jaatā huuñ dikhlāne samundar
dariyā mirī kashtī meñ jo tū baiTh gayā hai
vājib hai ise chuum ke āñkhoñ se lagā.ūñ
ik harf jo tasbīh-e-mohabbat se girā hai
manzil se kabhī merī shanāsā.ī nahīñ thī
rasta hī mirā yaar thā jo ruuTh gayā hai
charchā hai bahut shahr meñ jis mauj-e-numū kā
vo ḳhvāb mirī aañkh se hī Tapkā huā hai
ai sūrat-e-mahtāb tirā haath bhī āḳhir
lahroñ kī ravānī meñ kahīñ chhūT gayā hai
KHamoshi teri chiKH se ye bhed khula hai
sannaTe se bhi lipTi hui koi sada hai
ai zauq-e-nazar dekh tere samne kya hai
kohna hi sahi aankh pe manzar to naya hai
wo chand na nikla to sitare bhi the gum-sum
suraj bhi bahut der se bedar hua hai
chal tujh ko liye jata hun dikhlane samundar
dariya meri kashti mein jo tu baiTh gaya hai
wajib hai ise chum ke aankhon se lagaun
ek harf jo tasbih-e-mohabbat se gira hai
manzil se kabhi meri shanasai nahin thi
rasta hi mera yar tha jo ruTh gaya hai
charcha hai bahut shahr mein jis mauj-e-numu ka
wo KHwab meri aankh se hi Tapka hua hai
ai surat-e-mahtab tera hath bhi aaKHir
lahron ki rawani mein kahin chhuT gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.