KHamushi ka to nam hota hai
ḳhāmushī kā to naam hotā hai
varna yuuñ bhī kalām hotā hai
ishq ko pūchhtā nahīñ koī
husn kā ehtirām hotā hai
aañkh se aañkh jab nahīñ miltī
dil se dil ham-kalām hotā hai
husn ko sharmsār karnā hī
ishq kā intiqām hotā hai
allāh allāh ye nāz-e-husn 'majāz'
intizār-e-salām hotā hai
KHamushi ka to nam hota hai
warna yun bhi kalam hota hai
ishq ko puchhta nahin koi
husn ka ehtiram hota hai
aankh se aankh jab nahin milti
dil se dil ham-kalam hota hai
husn ko sharmsar karna hi
ishq ka intiqam hota hai
allah allah ye naz-e-husn 'majaz'
intizar-e-salam hota hai
- Book : Aahang (Pg. 46)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.