KHamushi mein hi la-jawab na tha
ḳhāmushī meñ hī lā-javāb na thā
muskurāhaT kā bhī hisāb na thā
maiñ use harf harf paḌhtā gayā
vo agarche khulī kitāb na thā
ek muddat se so rahe haiñ log
phir bhī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb na thā
jhiil meñ raat bhar thā kyā raqsāñ
terā paikar to zer-e-āb na thā
marne vāloñ kī thī jazā kī va.ii.d
jiine vāloñ kā ehtisāb na thā
zarf ke imtihāñ meñ ab kī baar
ek bhī shaḳhs kāmyāb na thā
yuuñ to behad saḳhī thā dil kā 'amīr'
vo magar sāhab-e-nisāb na thā
KHamushi mein hi la-jawab na tha
muskurahaT ka bhi hisab na tha
main use harf harf paDhta gaya
wo agarche khuli kitab na tha
ek muddat se so rahe hain log
phir bhi aankhon mein koi KHwab na tha
jhil mein raat bhar tha kya raqsan
tera paikar to zer-e-ab na tha
marne walon ki thi jaza ki waid
jine walon ka ehtisab na tha
zarf ke imtihan mein ab ki bar
ek bhi shaKHs kaamyab na tha
yun to behad saKHi tha dil ka 'amir'
wo magar sahab-e-nisab na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.