KHamushi mein qayas mera hai
ḳhāmushī meñ qayās merā hai
bandisheñ hī libās merā hai
ḳhvāb phūloñ ke aañkh ne gūñdhe
phir chaman kyuuñ udaas merā hai
koī tābīr-e-ḳhvāb mil jaatī
kyā muqaddar hī yaas merā hai
hasratoñ aaj duur hī rahnā
aaj phir dil udaas merā hai
tū guzar jā udhar 'sabā' ban kar
ai sanam ye sipās merā hai
KHamushi mein qayas mera hai
bandishen hi libas mera hai
KHwab phulon ke aankh ne gundhe
phir chaman kyun udas mera hai
koi tabir-e-KHwab mil jati
kya muqaddar hi yas mera hai
hasraton aaj dur hi rahna
aaj phir dil udas mera hai
tu guzar ja udhar 'saba' ban kar
ai sanam ye sipas mera hai
- Book : Takhaiyyul (Pg. 87)
- Author : Bubbles Hora Saba
- Publication : Arshia Graphic
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.