KHamushi se nikalti baat ka dukh
ḳhāmushī se nikaltī baat kā dukh
jāntā huuñ tumhārī zaat kā dukh
nīm-shab kī ḳhamoshī aur ġham-e-dil
noch letā hai aañkh raat kā dukh
bas maiñ shikva-kunāñ nahīñ tujh se
mujh ko vaise hai terī baat kā dukh
haar kar bhī maiñ jiit jā.ūñgā
bas kabhū ho jo tujh ko maat kā dukh
tum ne jiinā hai maiñ ne jiinā hai
jaañ nikālegā ye hayāt kā dukh
mere jiine pe bhī na raazī thā
tujh ko honā thā kyā vafāt kā dukh
dost ġhamgīñ na hoñ mire 'hamza'
paal lūñgā maiñ pāñch saat kā dukh
KHamushi se nikalti baat ka dukh
jaanta hun tumhaari zat ka dukh
nim-shab ki KHamoshi aur gham-e-dil
noch leta hai aankh raat ka dukh
bas main shikwa-kunan nahin tujh se
mujh ko waise hai teri baat ka dukh
haar kar bhi main jit jaunga
bas kabhu ho jo tujh ko mat ka dukh
tum ne jina hai main ne jina hai
jaan nikalega ye hayat ka dukh
mere jine pe bhi na raazi tha
tujh ko hona tha kya wafat ka dukh
dost ghamgin na hon mere 'hamza'
pal lunga main panch sat ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.