KHana-e-dil mein ja-ba-ja shab-bhar
ḳhāna-e-dil meñ jā-ba-jā shab-bhar
maiñ tujhe DhūñDhtā rahā shab-bhar
raat mujh se lipaT ke rotī rahī
so mujhe jāgnā paḌā shab-bhar
tere aane se ho tulū-e-sahar
dil ne māñgī yahī duā shab-bhar
jaane vo kis kī qabr hai jis par
jaltā rahtā hai ik diyā shab-bhar
lauTnā thā mujhe bhī ghar ko magar
haath aaya na rāsta shab-bhar
apnī palkoñ pe Dho.e ashk 'amīn'
ham ne haarā na hausla shab-bhar
KHana-e-dil mein ja-ba-ja shab-bhar
main tujhe DhunDhta raha shab-bhar
raat mujh se lipaT ke roti rahi
so mujhe jagna paDa shab-bhar
tere aane se ho tulu-e-sahar
dil ne mangi yahi dua shab-bhar
jaane wo kis ki qabr hai jis par
jalta rahta hai ek diya shab-bhar
lauTna tha mujhe bhi ghar ko magar
hath aaya na rasta shab-bhar
apni palkon pe Dhoe ashk 'amin'
hum ne haara na hausla shab-bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.