Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHana-e-zanjir ka paband rahta hun sada

Amanat Lakhnavi

KHana-e-zanjir ka paband rahta hun sada

Amanat Lakhnavi

MORE BYAmanat Lakhnavi

    ḳhāna-e-zanjīr pāband rahtā huuñ sadā

    ghar abas ho pūchhte mujh ḳhānamāñ-barbād

    ishq-e-qadd-e-yār meñ kyā nā-tavānī hai zor

    ġhash mujhe aayā jo saaya paḌ gayā shamshād

    ḳhud-farāmoshī tumhārī ġhair ke kaam aa ga.ī

    yaad rakhiyegā zarā bhūle se kahnā yaad

    ḳhat likhā karte haiñ ab vo yak qalam mujh ko shikast

    pech se dil toḌte haiñ āshiq-e-nāshād

    ishq-e-pechāñ chaman meñ jaal phailā dekh kar

    bulbuloñ ko sarv par dhokā huā sayyād

    qāmat-e-jānāñ se kartā hai akaḌ kar ham-sarī

    hausla dekhe to koī sarv-e-be-buniyād

    be-zabānī meñ 'amānat' vo haiñ gul-reziyāñ

    nātiqa ho band ai dil bulbul-e-nāshād

    KHana-e-zanjir ka paband rahta hun sada

    ghar abas ho puchhte mujh KHanaman-barbaad ka

    ishq-e-qadd-e-yar mein kya na-tawani ka hai zor

    ghash mujhe aaya jo saya paD gaya shamshad ka

    KHud-faramoshi tumhaari ghair ke kaam aa gai

    yaad rakhiyega zara bhule se kahna yaad ka

    KHat likha karte hain ab wo yak qalam mujh ko shikast

    pech se dil toDte hain aashiq-e-nashad ka

    ishq-e-pechan ka chaman mein jal phaila dekh kar

    bulbulon ko sarw par dhoka hua sayyaad ka

    qamat-e-jaanan se karta hai akaD kar ham-sari

    hausla dekhe to koi sarw-e-be-buniyaad ka

    be-zabani mein 'amanat' ki wo hain gul-reziyan

    natiqa ho band ai dil bulbul-e-nashad ka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHana-e-zanjir ka paband rahta hun sada Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : inteKHaab-e-kalaam aaGaa hasan amaanat lakhnavii
    • Author : umair manzar
    • Publication : aamanat lucknowi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now