Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHandani rishton mein aksar raqabat hai bahut

Bashir Badr

KHandani rishton mein aksar raqabat hai bahut

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    ḳhāndānī rishtoñ meñ aksar raqābat hai bahut

    ghar se niklo to ye duniyā ḳhūbsūrat hai bahut

    apne college meñ bahut maġhrūr jo mash.hūr hai

    dil mirā kahtā hai us laḌkī meñ chāhat hai bahut

    un ke chehre chāñd tāroñ tarah raushan rahe

    jin ġharīboñ ke yahāñ husn-e-qanā.at hai bahut

    ham se ho saktī nahīñ duniyā duniyā-dāriyāñ

    ishq dīvār ke saa.e meñ rāhat hai bahut

    dhuup chādar mire sūraj se kahnā bhej de

    ġhurbatoñ daur hai jāḌoñ shiddat hai bahut

    in añdheroñ meñ jahāñ sahmī huī thī ye zamīñ

    raat se tanhā laḌā jugnū meñ himmat hai bahut

    KHandani rishton mein aksar raqabat hai bahut

    ghar se niklo to ye duniya KHubsurat hai bahut

    apne college mein bahut maghrur jo mashhur hai

    dil mera kahta hai us laDki mein chahat hai bahut

    un ke chehre chand taron ki tarah raushan rahe

    jin gharibon ke yahan husn-e-qanaat hai bahut

    hum se ho sakti nahin duniya ki duniya-dariyan

    ishq ki diwar ke sae mein rahat hai bahut

    dhup ki chadar mere suraj se kahna bhej de

    ghurbaton ka daur hai jaDon ki shiddat hai bahut

    in andheron mein jahan sahmi hui thi ye zamin

    raat se tanha laDa jugnu mein himmat hai bahut

    Source :
    • Book : Aasman (Pg. 22)
    • Author : Bashir Badar
    • Publication : M.R. Publications (2011)
    • Edition : 2011

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now