Khaar-o-gul par nikhaar aa jae
ḳhār-o-gul par nikhār aa jaa.e
yuuñ chaman meñ bahār aa jaa.e
muskurā is tarah ai jān-e-vafā
zindagī meñ bahār aa jaa.e
tum na aao to koī ḳhat hī sahī
kuchh to dil ko qarār aa jaa.e
hañs ke dekho na bār-bār mujhe
mujh ko ḳhud par na pyaar aa jaa.e
guftugū ho ba-tarz-e-shā.ista
jo sune e.atibār aa jaa.e
mausam-e-gul hai bazm meñ 'anjum'
kaash vo mushk-bār aa jaa.e
KHar-o-gul par nikhaar aa jae
yun chaman mein bahaar aa jae
muskura is tarah ai jaan-e-wafa
zindagi mein bahaar aa jae
tum na aao to koi KHat hi sahi
kuchh to dil ko qarar aa jae
hans ke dekho na bar-bar mujhe
mujh ko KHud par na pyar aa jae
guftugu ho ba-tarz-e-shaista
jo sune eatibar aa jae
mausam-e-gul hai bazm mein 'anjum'
kash wo mushk-bar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.