khate hain hum hachkole is pagal sansar ke bich
khate hain hum hachkole is pagal sansar ke bich
Saraswati Saran Kaif
MORE BYSaraswati Saran Kaif
khāte haiñ ham hachkole is pāgal sansār ke biich
jaise koī TuuTī kashtī phañs jaa.e mañjdhār ke biich
un ke aage ghanToñ kī arz-e-vafā aur kyā paayā
ek tabassum mub.ham sā iqrār aur inkār ke biich
donoñ hī andhe haiñ magar apne apne Dhab ke haiñ
ham to farq na kar paa.e kāfir aur dīñ-dār ke biich
ishq pe bul-havasī kā ta.an ye bhī koī baat huī
koī ġharaz to hotī hai pyaar se har īsār ke biich
yuuñ to hamārā dāman bas ek phaTā kapḌā hai magar
DhūñDho to pāoge yahāñ sau sau dil har taar ke biich
jaise kaale kīchaḌ meñ ik surḳh kamal ho jalva-numā
aise dikhā.ī dete ho ham ko to aġhyār ke biich
ye hai dayār-e-ishq yahāñ 'kaif' ḳhirad se kaam na le
farq nahīñ kar pā.egā majnūñ o hoshyār ke biich
khate hain hum hachkole is pagal sansar ke bich
jaise koi TuTi kashti phans jae manjdhaar ke bich
un ke aage ghanTon ki arz-e-wafa aur kya paya
ek tabassum mubham sa iqrar aur inkar ke bich
donon hi andhe hain magar apne apne Dhab ke hain
hum to farq na kar pae kafir aur din-dar ke bich
ishq pe bul-hawasi ka tan ye bhi koi baat hui
koi gharaz to hoti hai pyar se har isar ke bich
yun to hamara daman bas ek phaTa kapDa hai magar
DhunDho to paoge yahan sau sau dil har tar ke bich
jaise kale kichaD mein ek surKH kamal ho jalwa-numa
aise dikhai dete ho hum ko to aghyar ke bich
ye hai dayar-e-ishq yahan 'kaif' KHirad se kaam na le
farq nahin kar paega majnun o hoshyar ke bich
- Book : Shuur-e-Lashuuri (Pg. 27)
- Author : Sarsvati Saran kaif
- Publication : Monthly Shan-e-Hind (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.