KHatir kare hai jam wo har bar ek tarah
ḳhātir kare hai jam' vo har baar ek tarah
kartā hai charḳh mujh se na.e yaar ek tarah
maiñ aur qais o kohkan ab jo zabāñ pe haiñ
maare ga.e haiñ sab ye gunahgār ek tarah
manzūr us ko parde meñ haiñ be-hijābiyāñ
kis se huā do-chār vo 'ayyār ek tarah
sab tarheñ us kī apnī nazar meñ thiiñ kyā kaheñ
par ham bhī ho ga.e haiñ giraftār ek tarah
ghar us ke jā ke aate haiñ pāmāl ho ke ham
kariye makāñ hī ab sar-e-bāzār ek tarah
gah gul hai gaah rang gahe baaġh kī hai bū
aatā nahīñ nazar vo tarah-dār ek tarah
nairañg husn-e-dost se kar āñkheñ āshnā
mumkin nahīñ vagarna ho dīdār ek tarah
sau tarah tarah dekh tabīboñ ne ye kahā
sehat pazīr hue ye bīmār ek tarah
so bhī hazār tarah se Thaharāvte haiñ ham
taskīn ke liye tirī nā-chār ek tarah
bin jī diye ho koī tarah fā.eda nahīñ
gar hai to ye hai ai jigar afgār ek tarah
har tarah tū zalīl hī rakhtā hai 'mīr' ko
hotā hai 'āshiqī meñ koī ḳhvār ek tarah
KHatir kare hai jam' wo har bar ek tarah
karta hai charKH mujh se nae yar ek tarah
main aur qais o kohkan ab jo zaban pe hain
mare gae hain sab ye gunahgar ek tarah
manzur us ko parde mein hain be-hijabiyan
kis se hua do-chaar wo 'ayyar ek tarah
sab tarhen us ki apni nazar mein thin kya kahen
par hum bhi ho gae hain giraftar ek tarah
ghar us ke ja ke aate hain pamal ho ke hum
kariye makan hi ab sar-e-bazar ek tarah
gah gul hai gah rang gahe bagh ki hai bu
aata nahin nazar wo tarah-dar ek tarah
nairang husn-e-dost se kar aankhen aashna
mumkin nahin wagarna ho didar ek tarah
sau tarah tarah dekh tabibon ne ye kaha
sehat pazir hue ye bimar ek tarah
so bhi hazar tarah se Thaharawte hain hum
taskin ke liye teri na-chaar ek tarah
bin ji diye ho koi tarah faeda nahin
gar hai to ye hai ai jigar afgar ek tarah
har tarah tu zalil hi rakhta hai 'mir' ko
hota hai 'ashiqi mein koi KHwar ek tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.