KHabar firaq ki aa kar suna gai hai sham
ḳhabar firāq kī aa kar sunā ga.ī hai shaam
sukūt-e-bahr ko tūfāñ banā ga.ī hai shaam
milan kī aas meñ baiThī ‘urūs-e-nau kī tarah
shab-e-murād ke dar par lajā ga.ī hai shaam
lahū-lahū hai ufuq kis ne kis ko qatl kiyā
'ajab balā hai ye sūraj ko khā ga.ī hai shaam
gharoñ kī samt palaTne lage haiñ taa.ir bhī
dayār-e-ġhair meñ ham ko rulā ga.ī hai shaam
KHabar firaq ki aa kar suna gai hai sham
sukut-e-bahr ko tufan bana gai hai sham
milan ki aas mein baiThi ‘urus-e-nau ki tarah
shab-e-murad ke dar par laja gai hai sham
lahu-lahu hai ufuq kis ne kis ko qatl kiya
'ajab bala hai ye suraj ko kha gai hai sham
gharon ki samt palaTne lage hain tair bhi
dayar-e-ghair mein hum ko rula gai hai sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.