KHabar kuchh hai tujhe tere chale jaane pe kya guzri
KHabar kuchh hai tujhe tere chale jaane pe kya guzri
Munaf Khan muztar
MORE BYMunaf Khan muztar
ḳhabar kuchh hai tujhe tere chale jaane pe kyā guzrī
parastāroñ pe kyā guzrī sanam-ḳhāne pe kyā guzrī
pare dair-o-haram se bhī ga.e kyūñkar ḳhudā jaane
hudūd-e-aql se aage nikal jaane pe kyā guzrī
ga.e the ban-sañvar ke ā.ina-ḳhāne meñ vo ik din
kise mālūm hai phir ā.ina-ḳhāne pe kyā guzrī
mirā dast-e-junūñ aage baḌhā hai jeb-o-dāmāñ se
ḳhudā-rā ab na pūchho ki bahār aane pe kyā guzrī
ijāzat ho to ai pīr-e-muġhāñ kyā pūchh saktā huuñ
ki mere baa'd tujh pe tere maiḳhāne pe kyā guzrī
KHabar kuchh hai tujhe tere chale jaane pe kya guzri
parastaron pe kya guzri sanam-KHane pe kya guzri
pare dair-o-haram se bhi gae kyunkar KHuda jaane
hudud-e-aql se aage nikal jaane pe kya guzri
gae the ban-sanwar ke aaina-KHane mein wo ek din
kise malum hai phir aaina-KHane pe kya guzri
mera dast-e-junun aage baDha hai jeb-o-daman se
KHuda-ra ab na puchho ki bahaar aane pe kya guzri
ijazat ho to ai pir-e-mughan kya puchh sakta hun
ki mere ba'd tujh pe tere maiKHane pe kya guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.