KHabar liyaya hai hudhud mere tain us yar-e-jaani ka
ḳhabar liyāyā hai hudhud mere ta.iiñ us yār-e-jānī kā
ḳhushī kā vaqt hai zāhir karūñ rāz-e-nihānī kā
mire jiiv aarsī meñ ḳhayāl tuj mukh kā so distā hai
kare uu ḳhayāl munj dil meñ nishānī zar-fishānī kā
chitā ho ishq ke jañgal meñ baiThā hai darī le kar
liyā hai jhāñp suuñ aahū naman dil munj āyānī kā
ḳhudā kā shukr hai tuj saltanat the kaam paayā huuñ
dannade dushman ke mukh par piyūtā mai arġhavānī kā
chhabīle mast saaqī ke pichheñ dauḌe sau maḳhmūrāñ
pilāo mai havā ab to huā hai gul-fishānī kā
hameñ haiñ ishq ke pannath meñ dono aalam the be-parvā
lagyā hai daaġh munj dil par us hindostānī kā
paḌe dumbāl meñ mere so us naināñ ke dumbāle
ḳhudāyā ishq mushkil hai bharam rakh tuuñ ma.ānī kā
KHabar liyaya hai hudhud mere tain us yar-e-jaani ka
KHushi ka waqt hai zahir karun raaz-e-nihani ka
mere jiw aarsi mein KHayal tuj mukh ka so dista hai
kare u KHayal munj dil mein nishani zar-fishani ka
chita ho ishq ke jangal mein baiTha hai dari le kar
liya hai jhanp sun aahu naman dil munj aayani ka
KHuda ka shukr hai tuj saltanat the kaam paya hun
dannade dushman ke mukh par piyuta mai arghawani ka
chhabile mast saqi ke pichhen dauDe sau maKHmuran
pilao mai hawa ab to hua hai gul-fishani ka
hamein hain ishq ke pannath mein dono aalam the be-parwa
lagya hai dagh munj dil par us hindostani ka
paDe dumbaal mein mere so us nainan ke dumbaale
KHudaya ishq mushkil hai bharam rakh tun maani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.