KHadd-o-Khaal-e-hasrat-o-arman badalna hai mujhe

KHadd-o-Khaal-e-hasrat-o-arman badalna hai mujhe
Jagdish Mehta Dard
MORE BYJagdish Mehta Dard
ḳhadd-o-ḳhāl-e-hasrat-o-armāñ badalnā hai mujhe
sarhad-e-soz-e-ġham-e-dil se nikalnā hai mujhe
soz-e-ġham soz-e-darūñ soz-e-talab ye to batā
aur tere saath kitnī duur chalnā hai mujhe
saarā 'ālam chhān maarā hai pata miltā nahīñ
kaun hai āḳhir kahāñ hai jis se milnā hai mujhe
sāhib-e-tafrīq-o-shar ke paañv meñ hai farsh-e-gul
ḳhair kā haamī huuñ maiñ kāñToñ pe chalnā hai mujhe
koī hiila vahshat-e-nākāmī-e-zauq-e-talab
ḳhud ko ibn-ul-vaqt kī sūrat badalnā hai mujhe
toḌ bhī jis kā tire shātir ḳhayāloñ meñ na ho
vaqt tere saath aisī chaal chalnā hai mujhe
ik zarā sī aur fursat ai fareb-e-dard-e-dil
gulshan-e-hastī meñ gul ban kar mahaknā hai mujhe
KHadd-o-KHal-e-hasrat-o-arman badalna hai mujhe
sarhad-e-soz-e-gham-e-dil se nikalna hai mujhe
soz-e-gham soz-e-darun soz-e-talab ye to bata
aur tere sath kitni dur chalna hai mujhe
sara 'alam chhan mara hai pata milta nahin
kaun hai aaKHir kahan hai jis se milna hai mujhe
sahib-e-tafriq-o-shar ke panw mein hai farsh-e-gul
KHair ka hami hun main kanTon pe chalna hai mujhe
koi hila wahshat-e-nakaami-e-zauq-e-talab
KHud ko ibn-ul-waqt ki surat badalna hai mujhe
toD bhi jis ka tere shatir KHayalon mein na ho
waqt tere sath aisi chaal chalna hai mujhe
ek zara si aur fursat ai fareb-e-dard-e-dil
gulshan-e-hasti mein gul ban kar mahakna hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.