KHadd-o-Khaal se Khaali hai
ḳhadd-o-ḳhāl se ḳhālī hai
ye tasvīr to ja.alī hai
kahte haiñ marg-e-mufājāt
hukm-e-janāb-e-ālī hai
lashkar-e-is.hāl-zada kī
maiñ ne kamān sambhālī hai
duniyā kī āvāz suno
ek hī haath kī taalī hai
har ik insān ke andar
baiThā ek mavālī hai
amla mo.attal hai dil kā
jaarī sa.ī-e-bahālī hai
qīmat alag hai ḳhaslat ek
ye gandum vo shālī hai
sher kī jast ko kaafī bas
mast hiran kī jugālī hai
mat phaTko mujh dil ke paas
ye darvesh jalālī hai
'shafaq'! ab apne baare meñ
kyā afvāh uḌā lī hai
KHadd-o-KHal se KHali hai
ye taswir to jali hai
kahte hain marg-e-mufajat
hukm-e-janab-e-ali hai
lashkar-e-ishaal-zada ki
main ne kaman sambhaali hai
duniya ki aawaz suno
ek hi hath ki tali hai
har ek insan ke andar
baiTha ek mawali hai
amla moattal hai dil ka
jari sai-e-bahaali hai
qimat alag hai KHaslat ek
ye gandum wo shaali hai
sher ki jast ko kafi bas
mast hiran ki jugali hai
mat phaTko mujh dil ke pas
ye darwesh jalali hai
'shafaq'! ab apne bare mein
kya afwah uDa li hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.