KHadsha-e-barq-o-sharar yaad aaya
KHadsha-e-barq-o-sharar yaad aaya
Abdul Hafeez Khalish Taskini
MORE BYAbdul Hafeez Khalish Taskini
ḳhadsha-e-barq-o-sharar yaad aayā
maiñ jahāñ bhī gayā ghar yaad aayā
bas tirā haath rahā yaad mujhe
sañg yaad aayā na sar yaad aayā
har qadam par thā nishān-e-manzil
tere hamrāh safar yaad aayā
ashk-e-ḳhurshīd kahā thā tujh ko
tū bahut vaqt-e-sahar yaad aayā
dil mirā bahr-e-alam meñ Duubā
jab tirā dīda-e-tar yaad aayā
thā mire sar meñ vafā ka saudā
nafā shab aayā zarar yaad aayā
is qadar ġham pe na socho ai 'ḳhalish'
kyā karoge vo agar yaad aayā
KHadsha-e-barq-o-sharar yaad aaya
main jahan bhi gaya ghar yaad aaya
bas tera hath raha yaad mujhe
sang yaad aaya na sar yaad aaya
har qadam par tha nishan-e-manzil
tere hamrah safar yaad aaya
ashk-e-KHurshid kaha tha tujh ko
tu bahut waqt-e-sahar yaad aaya
dil mera bahr-e-alam mein Duba
jab tera dida-e-tar yaad aaya
tha mere sar mein wafa ka sauda
nafa shab aaya zarar yaad aaya
is qadar gham pe na socho ai 'KHalish'
kya karoge wo agar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.