KHafa hain is liye wo humse farmaish nahin karte
ḳhafā haiñ is liye vo ham se farmā.ish nahīñ karte
so ham bhī dhuup aur saa.e kī paimā.ish nahīñ karte
zamāna har chamaktī chiiz ko sonā samajhtā hai
hamārā mas.ala ye hai ki ārā.ish nahīñ karte
zarūrat āshkārā kartī hai nām-o-nasab sab kā
vagarna jo hasīñ hote haiñ zebā.ish nahīñ karte
utar saktī nahīñ dil-ā.ine meñ raushnī jab tak
ham us se saaf saarī gard-o-ālā.ish nahīñ karte
zakī har ek ḳhvāhish kī chukānā paḌtī hai qīmat
talab ham is liye ab us se āsā.ish nahīñ karte
KHafa hain is liye wo hum se farmaish nahin karte
so hum bhi dhup aur sae ki paimaish nahin karte
zamana har chamakti chiz ko sona samajhta hai
hamara masala ye hai ki aaraish nahin karte
zarurat aashkara karti hai nam-o-nasab sab ka
wagarna jo hasin hote hain zebaish nahin karte
utar sakti nahin dil-aine mein raushni jab tak
hum us se saf sari gard-o-alaish nahin karte
zaki har ek KHwahish ki chukana paDti hai qimat
talab hum is liye ab us se aasaish nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.