ḳhafā ham se vo be-sabab ho gayā
ġhazab ho gayā hai ġhazab ho gayā
tasavvur meñ zulf-o-ruḳh-e-yār ke
mirā roz mānind-e-shab ho gayā
maiñ aage to dīvāna itnā na thā
ḳhudā jaane kyā mujh ko ab ho gayā
lab-e-nāzuk us ke jo yaad aa ga.e
ka.ī baar maiñ jāñ-ba-lab ho gayā
tire ġham meñ saudā-o-ḳhabt-o-junūñ
jo thā mujh ko manzūr sab ho gayā
ye ā.īna-rū dekhe yaañ 'muntazir'
ki dil apnā rashk-e-halab ho gayā
KHafa hum se wo be-sabab ho gaya
ghazab ho gaya hai ghazab ho gaya
tasawwur mein zulf-o-ruKH-e-yar ke
mera roz manind-e-shab ho gaya
main aage to diwana itna na tha
KHuda jaane kya mujh ko ab ho gaya
lab-e-nazuk us ke jo yaad aa gae
kai bar main jaan-ba-lab ho gaya
tere gham mein sauda-o-KHabt-o-junun
jo tha mujh ko manzur sab ho gaya
ye aaina-ru dekhe yan 'muntazir'
ki dil apna rashk-e-halab ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.