Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHair ka tujhko yaqin hai aur usko shar ka hai

Saleem Ahmed

KHair ka tujhko yaqin hai aur usko shar ka hai

Saleem Ahmed

MORE BYSaleem Ahmed

    ḳhair tujh ko yaqīñ hai aur us ko shar hai

    donoñ haq par haiñ ki jhagḌā sirf pas-manzar hai

    āñsuoñ se hai ḳhālī dard se 'aarī huuñ maiñ

    terī āñkheñ kāñch haiñ merā dil patthar hai

    kaun dafnātā use vo ik barahna laash thī

    sab ne pūchhā kaun hai vo kaun se lashkar hai

    sukūñ se thak gayā hai aur betābī se maiñ

    shauq hai tujh ko safar aur mujh ko ghar hai

    ek paudā sahn meñ thā dhuup khā kar jal gayā

    sirf merā nahīñ hai ranj ye ghar bhar hai

    sochtā rahtā huuñ maiñ terī uḌāneñ dekh kar

    ye havā zor hai tere bāl-o-par hai

    ek būḌhe ne kiyā asr-e-ravāñ pe tabsira

    ye zamāna aadmī hai ki zor-o-zar hai

    maiñ ne sīñchā hai lahū se is dil-e-sar-sabz ko

    'umr bhar se ye 'ilāqa merī chashm-e-tar hai

    maiñ simaT kar leTtā huuñ bistar-e-idrāk par

    paañv phailā.ūñ to andesha mujhe chādar hai

    is masāfat mudāvā tujh se bhī mumkin nahīñ

    zaḳhm-e-dil se kuchh ziyāda zaḳhm mere sar hai

    ik tabīb-e-ādmiyat ne kahā hai saaf saaf

    zahr duniyā ragoñ meñ sab fasād-e-zar hai

    dekh kar insān ko kahtī hai saarī kā.enāt

    ye to ham meñ se nahīñ hai ye koī bāhar hai

    saarī kaḌiyāñ toḌ diiñ maiñ ne mohabbat ke sivā

    kaun toḌegā ise ye jabr to andar hai

    KHair ka tujh ko yaqin hai aur us ko shar ka hai

    donon haq par hain ki jhagDa sirf pas-manzar ka hai

    aansuon se tu hai KHali dard se 'ari hun main

    teri aankhen kanch ki hain mera dil patthar ka hai

    kaun dafnata use wo ek barahna lash thi

    sab ne puchha kaun hai wo kaun se lashkar ka hai

    tu sukun se thak gaya hai aur betabi se main

    shauq hai tujh ko safar ka aur mujh ko ghar ka hai

    ek pauda sahn mein tha dhup kha kar jal gaya

    sirf mera hi nahin hai ranj ye ghar bhar ka hai

    sochta rahta hun main teri uDanen dekh kar

    ye hawa ka zor hai ya tere baal-o-par ka hai

    ek buDhe ne kiya asr-e-rawan pe tabsira

    ye zamana aadmi ka hai ki zor-o-zar ka hai

    main ne sincha hai lahu se is dil-e-sar-sabz ko

    'umr bhar se ye 'ilaqa meri chashm-e-tar ka hai

    main simaT kar leTta hun bistar-e-idrak par

    panw phailaun to andesha mujhe chadar ka hai

    is masafat ka mudawa tujh se bhi mumkin nahin

    zaKHm-e-dil se kuchh ziyaada zaKHm mere sar ka hai

    ek tabib-e-admiyat ne kaha hai saf saf

    zahr duniya ki ragon mein sab fasad-e-zar ka hai

    dekh kar insan ko kahti hai sari kaenat

    ye to hum mein se nahin hai ye koi bahar ka hai

    sari kaDiyan toD din main ne mohabbat ke siwa

    kaun toDega ise ye jabr to andar ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now