KHair se ab hai wahan aap ka bimar ki bas
ḳhair se ab hai vahāñ aap kā bīmār ki bas
is qadar der lagā dī mire sarkār ki bas
ser hotā hī nahīñ zauq-e-tamāshā lekin
mujh se kahtī hai mirī jur.at-e-dīdār ki bas
hijr ke naam pe bhī vasl ke unvān se bhī
ishq ne itne diye haiñ mujhe āzār ki bas
kis qadar thī vo nazar ā.ina-kirdār na pūchh
is qadar chuur huā hai but-e-pindār ki bas
na ġham-e-dil ke hī bas ke na ġham-e-daurāñ ke
itne āzād hue tere giraftār ki bas
KHair se ab hai wahan aap ka bimar ki bas
is qadar der laga di mere sarkar ki bas
ser hota hi nahin zauq-e-tamasha lekin
mujh se kahti hai meri jurat-e-didar ki bas
hijr ke nam pe bhi wasl ke unwan se bhi
ishq ne itne diye hain mujhe aazar ki bas
kis qadar thi wo nazar aaina-kirdar na puchh
is qadar chur hua hai but-e-pindar ki bas
na gham-e-dil ke hi bas ke na gham-e-dauran ke
itne aazad hue tere giraftar ki bas
- Book : Aaina-e-Dil (Pg. 80)
- Author : Dil Ayubi
- Publication : Nazish Book Center Lahore (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.