KHair se hoti rahi rah-numai kya kya
ḳhair se hotī rahī rāh-numā.ī kyā kyā
varna aa jaatī bashar meñ kaj-adā.ī kyā kyā
mo'atabar kaise kaheñ tū ne uḌaa.ī kyā kyā
ai nazar tujh ko ye duniyā nazar aa.ī kyā kyā
be-ruḳhī thī vale bargashtagī aisī to na thī
kyā ḳhabar kis ne vahāñ jā ke lagā.ī kyā kyā
dil ne taslīm kiyā kab ki yaqīñ aa jaatā
us ne ban ban ke magar baat banā.ī kyā kyā
aql hushyār thī dhīre se diyā haath dabā
kyā kahūñ varna mire dil meñ samā.ī kyā kyā
kaise ehsān kiye jaa.eñ saḳhāvat kaise
chhoḌ kar naqsh ga.e hātim-e-tā.ī kyā kyā
maiñ na hābīl na yūsuf na maiñ Tiipū sultāñ
chāhte haiñ mire haq meñ mire bhaa.ī kyā kyā
vo to bohtān lagāne ke liye baiThe haiñ
dil miyāñ bhaa.ī mirā degā safā.ī kyā kyā
Daal kar āñkhoñ meñ āñkheñ jo kahā pahchānā
us ne phir mujh se 'naqīb' aañkh churā.ī kyā kyā
KHair se hoti rahi rah-numai kya kya
warna aa jati bashar mein kaj-adai kya kya
mo'atabar kaise kahen tu ne uDai kya kya
ai nazar tujh ko ye duniya nazar aai kya kya
be-ruKHi thi wale bargashtagi aisi to na thi
kya KHabar kis ne wahan ja ke lagai kya kya
dil ne taslim kiya kab ki yaqin aa jata
us ne ban ban ke magar baat banai kya kya
aql hushyar thi dhire se diya hath daba
kya kahun warna mere dil mein samai kya kya
kaise ehsan kiye jaen saKHawat kaise
chhoD kar naqsh gae hatim-e-tai kya kya
main na habil na yusuf na main Tipu sultan
chahte hain mere haq mein mere bhai kya kya
wo to bohtan lagane ke liye baiThe hain
dil miyan bhai mera dega safai kya kya
Dal kar aankhon mein aankhen jo kaha pahchana
us ne phir mujh se 'naqib' aankh churai kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.