KHalal aaya na haqiqat mein na afsana bana
ḳhalal aayā na haqīqat meñ na afsāna banā
maiñ to lagtā hai ki bekār hī dīvāna banā
maar hī Daalā thā sāhil ke maraz ne mujh ko
ek sailāb achānak hī shifā-ḳhāna banā
jaise parchhā.īñ banā.ī ga.ī har jism ke saath
usī andāz se har shahr kā vīrāna banā
masjid-e-jism jise koī namāzī na milā
vahīñ ik shaam mirī ruuh kā mai-ḳhāna banā
farhat-ehsās se aatī thī sadā-e-girya
āḳhir-kār vo duniyā kā azā-ḳhāna banā
KHalal aaya na haqiqat mein na afsana bana
main to lagta hai ki bekar hi diwana bana
mar hi Dala tha sahil ke maraz ne mujh ko
ek sailab achanak hi shifa-KHana bana
jaise parchhain banai gai har jism ke sath
usi andaz se har shahr ka virana bana
masjid-e-jism jise koi namazi na mila
wahin ek sham meri ruh ka mai-KHana bana
farhat-ehsas se aati thi sada-e-girya
aaKHir-kar wo duniya ka aza-KHana bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.