KHalq-e-KHuda hai shah ki muKHbar lagi hui
ḳhalq-e-ḳhudā hai shaah kī muḳhbar lagī huī
ḳhāmoshiyoñ kī bhiiḌ hai ghar-ghar lagī huī
sañg o sag o sadā sabhī pīchhe paḌe hue
ik dauḌ sī hai ham meñ barābar lagī huī
sad ehtimām-e-girya bhī aayā na apne kaam
bujhtī nahīñ hai aag sī andar lagī huī
aao ki mutma.in kareñ apne zamīr ko
mohar-e-sukūt toḌ deñ lab par lagī huī
lāzim hai ehtiyāt faqīhān-e-sheher ko
har ik nazar hai ab sar-e-mimbar lagī huī
muddat ke ba.ad aa.e to rūThī huī sī thī
taḳhtī hamāre naam kī dar par lagī huī
uḌtī rahī kuchh is tarah rusvā.iyoñ kī ḳhaak
jaise 'shafīq' baat koī par lagī huī
KHalq-e-KHuda hai shah ki muKHbar lagi hui
KHamoshiyon ki bhiD hai ghar-ghar lagi hui
sang o sag o sada sabhi pichhe paDe hue
ek dauD si hai hum mein barabar lagi hui
sad ehtimam-e-girya bhi aaya na apne kaam
bujhti nahin hai aag si andar lagi hui
aao ki mutmain karen apne zamir ko
mohar-e-sukut toD den lab par lagi hui
lazim hai ehtiyat faqihan-e-sheher ko
har ek nazar hai ab sar-e-mimbar lagi hui
muddat ke baad aae to ruThi hui si thi
taKHti hamare nam ki dar par lagi hui
uDti rahi kuchh is tarah ruswaiyon ki KHak
jaise 'shafiq' baat koi par lagi hui
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 357)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.