aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHalq kahti hai jise dil tere diwane ka

Fani Badayuni

KHalq kahti hai jise dil tere diwane ka

Fani Badayuni

MORE BYFani Badayuni

    Interesting Fact

    Film: ُPrem Nagar -1974

    ḳhalq kahtī hai jise dil tire dīvāne

    ek gosha hai ye duniyā isī vīrāne

    ik muamma hai samajhne na samjhāne

    zindagī kaahe ko hai ḳhvāb hai dīvāne

    husn hai zaat mirī ishq sifat hai merī

    huuñ to maiñ sham.a magar bhes hai parvāne

    ka.abe ko dil ziyārat ke liye jaatā huuñ

    āstāna hai haram mere sanam-ḳhāne

    muḳhtasar qissa-e-ġham ye hai ki dil rakhtā huuñ

    rāz-e-kaunain ḳhulāsa hai is afsāne

    zindagī bhī to pashemāñ hai yahāñ ke mujhe

    DhūñDtī hai koī hiila mire mar jaane

    tum ne dekhā hai kabhī ghar ko badalte hue rañg

    aao dekho na tamāshā mire ġham-ḳhāne

    ab ise daar pe le ke sulā de saaqī

    yuuñ bahaknā nahīñ achchhā tire mastāne

    dil se pahuñchī to haiñ āñkhoñ meñ lahū būñdeñ

    silsila shīshe se miltā to hai paimāne

    haDDiyāñ haiñ ka.ī lipTī huī zanjīroñ meñ

    liye jaate haiñ janāza tire dīvāne

    vahdat-e-husn ke jalvoñ ye kasrat ai ishq

    dil ke har zarre meñ aalam hai parī-ḳhāne

    chashm-e-sāqī asar-e-mai se nahīñ hai gul-rañg

    dil mire ḳhuun se labrez hai paimāne

    lauh dil ko ġham-e-ulfat ko qalam kahte haiñ

    kun hai andāz-e-raqam husn ke afsāne

    ham ne chhānī haiñ bahut dair o haram galiyāñ

    kahīñ paayā na Thikānā tire dīvāne

    kis āñkheñ dam-e-āḳhir mujhe yaad aa.ī haiñ

    dil muraqqa.a hai chhalakte hue paimāne

    kahte haiñ kyā maze hai fasāna 'fānī'

    aap jaan se duur aap ke mar jaane

    har nafas umr-e-guzishta hai mayyat 'fānī'

    zindagī naam hai mar mar ke jiye jaane

    KHalq kahti hai jise dil tere diwane ka

    ek gosha hai ye duniya isi virane ka

    ek muamma hai samajhne ka na samjhane ka

    zindagi kahe ko hai KHwab hai diwane ka

    husn hai zat meri ishq sifat hai meri

    hun to main shama magar bhes hai parwane ka

    kabe ko dil ki ziyarat ke liye jata hun

    aastana hai haram mere sanam-KHane ka

    muKHtasar qissa-e-gham ye hai ki dil rakhta hun

    raaz-e-kaunain KHulasa hai is afsane ka

    zindagi bhi to pasheman hai yahan la ke mujhe

    DhunDti hai koi hila mere mar jaane ka

    tum ne dekha hai kabhi ghar ko badalte hue rang

    aao dekho na tamasha mere gham-KHane ka

    ab ise dar pe le ja ke sula de saqi

    yun bahakna nahin achchha tere mastane ka

    dil se pahunchi to hain aankhon mein lahu ki bunden

    silsila shishe se milta to hai paimane ka

    haDDiyan hain kai lipTi hui zanjiron mein

    liye jate hain janaza tere diwane ka

    wahdat-e-husn ke jalwon ki ye kasrat ai ishq

    dil ke har zarre mein aalam hai pari-KHane ka

    chashm-e-saqi asar-e-mai se nahin hai gul-rang

    dil mere KHun se labrez hai paimane ka

    lauh dil ko gham-e-ulfat ko qalam kahte hain

    kun hai andaz-e-raqam husn ke afsane ka

    hum ne chhani hain bahut dair o haram ki galiyan

    kahin paya na Thikana tere diwane ka

    kis ki aankhen dam-e-aKHir mujhe yaad aai hain

    dil muraqqa hai chhalakte hue paimane ka

    kahte hain kya hi maze ka hai fasana 'fani'

    aap ki jaan se dur aap ke mar jaane ka

    har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani'

    zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Hamid Ali Khan

    Hamid Ali Khan

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now