KHalq ki KHalq chali aati hai maiKHane mein
ḳhalq kī ḳhalq chalī aatī hai maiḳhāne meñ
aisī kyā chiiz hai saaqī tire paimāne meñ
kaun kahtā hai gulistāñ hī meñ aatī hai bahār
phuul khilte hue dekhe ga.e vīrāne meñ
terī mahfil ke vo ādāb bajā laa.e kyā
itnī tahzīb kahāñ hai tire dīvāne meñ
lauT jā.eñge taḌap jā.eñge sunñe vaale
dard hai soz hai ġham hai mire afsāne meñ
sho.ala-e-sham.a se jalne kī nahīñ kuchh parvā
vaah kyā himmat-e-mardāna hai parvāne meñ
muḳhtalif Dhab se ibādat hai ḳhudā kī har jā
ka.aba-e-pāk meñ girjā meñ sanam-ḳhāne meñ
KHalq ki KHalq chali aati hai maiKHane mein
aisi kya chiz hai saqi tere paimane mein
kaun kahta hai gulistan hi mein aati hai bahaar
phul khilte hue dekhe gae virane mein
teri mahfil ke wo aadab baja lae kya
itni tahzib kahan hai tere diwane mein
lauT jaenge taDap jaenge sunne wale
dard hai soz hai gham hai mere afsane mein
shoala-e-shama se jalne ki nahin kuchh parwa
wah kya himmat-e-mardana hai parwane mein
muKHtalif Dhab se ibaadat hai KHuda ki har ja
kaba-e-pak mein girja mein sanam-KHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.