Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHalq ne chhin li mujhse meri tanhai tak

Shahzad Ahmad

KHalq ne chhin li mujhse meri tanhai tak

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    ḳhalq ne chhīn mujh se mirī tanhā.ī tak

    ishq aa pahuñchā hai ilzām se rusvā.ī tak

    khol rakkhā hai ye darvāza-e-dil tere liye

    kaash dekh sake ruuh gahrā.ī tak

    kyuuñ huuñ maiñ aur mire ġham use ehsās kahāñ

    hai mulāqāt faqat anjuman-ārā.ī tak

    yuuñ to ham ahl-e-nazar haiñ magar anjām ye hai

    DhūñDte DhūñDte kho dete haiñ bīnā.ī tak

    khul ga.e vo to khulā apnī mohabbat bharam

    valvale dil meñ hazāroñ the shanāsā.ī tak

    Dūbnā apnā muqaddar thā magar zulm hai ye

    bah ga.e ek rele meñ tamāshā.ī tak

    ḳhushk miTTī pe bhī girtā nahīñ pattā koī

    ḳhāmushī vo hai ki chaltī nahīñ purvā.ī tak

    shahr meñ ahl-e-jafā ahl-e-riyā rahte haiñ

    ye havā kaash na pahuñche tire saudā.ī tak

    apne anjām pe ḳhud ro.egī sham-e-mahfil

    chhoḌ jā.eñge use us ke tamannā.ī tak

    ham ne bhī dasht-navardī to bahut 'shahzād'

    haath pahuñchā na kisī lāla-e-sahrā.ī tak

    KHalq ne chhin li mujh se meri tanhai tak

    ishq aa pahuncha hai ilzam se ruswai tak

    khol rakkha hai ye darwaza-e-dil tere liye

    kash tu dekh sake ruh ki gahrai tak

    kyun hun main aur mere gham ka use ehsas kahan

    hai mulaqat faqat anjuman-arai tak

    yun to hum ahl-e-nazar hain magar anjam ye hai

    DhunDte DhunDte kho dete hain binai tak

    khul gae wo to khula apni mohabbat ka bharam

    walwale dil mein hazaron the shanasai tak

    Dubna apna muqaddar tha magar zulm hai ye

    bah gae ek hi rele mein tamashai tak

    KHushk miTTi pe bhi girta nahin patta koi

    KHamushi wo hai ki chalti nahin purwai tak

    shahr mein ahl-e-jafa ahl-e-riya rahte hain

    ye hawa kash na pahunche tere saudai tak

    apne anjam pe KHud roegi sham-e-mahfil

    chhoD jaenge use us ke tamannai tak

    hum ne bhi dasht-nawardi to bahut ki 'shahzad'

    hath pahuncha na kisi lala-e-sahrai tak

    Source :
    • Book : Deewar pe dastak (Pg. 351)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now