KHalwaton se nibah kar aaya
ḳhalvatoñ se nibāh kar aayā
zindagī ko tabāh kar aayā
raushnī ke the sab murīd so maiñ
tīrgī se nikāh kar aayā
be-sabab sar dharā gayā ilzām
is liye maiñ gunāh kar aayā
us kī or dekhā tak nahīñ maiñ ne
koh kā faḳhr kaah kar aayā
zikr kar yāroñ meñ mohabbat kā
jañg kī iftitāh kar aayā
dekh kar mujh ko tanz kas rahe the
hañs ke maiñ vāh-vāh kar aayā
KHalwaton se nibah kar aaya
zindagi ko tabah kar aaya
raushni ke the sab murid so main
tirgi se nikah kar aaya
be-sabab sar dhara gaya ilzam
is liye main gunah kar aaya
us ki or dekha tak nahin main ne
koh ka faKHr kah kar aaya
zikr kar yaron mein mohabbat ka
jang ki iftitah kar aaya
dekh kar mujh ko tanz kas rahe the
hans ke main wah-wah kar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.