KHamosh rah kar pukarti hai
ḳhamosh rah kar pukārtī hai
vo aañkh kitnī sharārtī hai
hai chāñdnī sā mizāj us kā
samundaroñ ko ubhārtī hai
maiñ bādaloñ meñ ghirā jazīra
vo mujh meñ sāvan guzārtī hai
ki jaise maiñ us ko chāhtā huuñ
kuchh aise ḳhud ko sañvārtī hai
ḳhafā ho mujh se to apne andar
vo bārishoñ ko utārtī hai
KHamosh rah kar pukarti hai
wo aankh kitni shararti hai
hai chandni sa mizaj us ka
samundaron ko ubhaarti hai
main baadalon mein ghira jazira
wo mujh mein sawan guzarti hai
ki jaise main us ko chahta hun
kuchh aise KHud ko sanwarti hai
KHafa ho mujh se to apne andar
wo barishon ko utarti hai
- Book : Ham Ne Bhi Mohabbat Ki Hai (Pg. 15)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastalique Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.