KHamosh rah ke zawal-e-suKHan ka gham kiye jaen
ḳhamosh rah ke zavāl-e-suḳhan kā ġham kiye jaa.eñ
savāl ye hai ki yuuñ kitnī der ham kiye jaa.eñ
ye naqsh-gar ke liye sahl bhī na ho shāyad
ki ham se aur bhī is ḳhaak par raqam kiye jaa.eñ
ka.ī guzishta zamāne ka.ī shikasta nujūm
jo dastaras meñ haiñ lafzoñ meñ kaise zam kiye jaa.eñ
ye goshvāre zabāñ ke bahut sañbhāl chuke
sau she'r kaaT diye jaa.eñ ḳhvāb kam kiye jaa.eñ
terā ḳhayāl bhī aa.e to kitnī der talak
ka.ī ġhazāl mire dasht-e-dil meñ ram kiye jaa.eñ
maiñ jāntā huuñ ye mumkin nahīñ magar ai dost
maiñ chāhtā huuñ ki vo ḳhvāb phir baham kiye jaa.eñ
hisāb dil kā rakheñ ham ki dahr kā 'bābar'
shumār daaġh kiye jaa.eñ yā diram kiye jaa.eñ
KHamosh rah ke zawal-e-suKHan ka gham kiye jaen
sawal ye hai ki yun kitni der hum kiye jaen
ye naqsh-gar ke liye sahl bhi na ho shayad
ki hum se aur bhi is KHak par raqam kiye jaen
kai guzishta zamane kai shikasta nujum
jo dastaras mein hain lafzon mein kaise zam kiye jaen
ye goshware zaban ke bahut sanbhaal chuke
sau she'r kaT diye jaen KHwab kam kiye jaen
tera KHayal bhi aae to kitni der talak
kai ghazal mere dasht-e-dil mein ram kiye jaen
main jaanta hun ye mumkin nahin magar ai dost
main chahta hun ki wo KHwab phir baham kiye jaen
hisab dil ka rakhen hum ki dahr ka 'babar'
shumar dagh kiye jaen ya diram kiye jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.