KHamoshi guftugu hai be-zabani hai zaban uski
KHamoshi guftugu hai be-zabani hai zaban uski
Imtiyaz Ahmad Qamar
MORE BYImtiyaz Ahmad Qamar
ḳhamoshī guftugū hai be-zabānī hai zabāñ us kī
maiñ samjhā thā ki mujh se muḳhtalif hai dāstāñ us kī
mire har samt phailī chāñdnī hai yā hisār us kā
mirā ehsās hai yā raqs meñ parchhā.iyāñ us kī
maiñ ḳhud ko jaise apne paas hī mahsūs kartā huuñ
mire alfāz meñ ras gholtī haiñ shoḳhiyāñ us kī
kahāñ merī tarah sab ko milā zaḳhmoñ kā pairāhan
yuuñ kahne ko to sab par hai nigāh-e-mehrbāñ us kī
shikast-e-shīsha-e-dil kī sadā pahroñ sunā.ī de
agar ik baar uTh jaa.e nigāh-e-mehrbāñ us kī
saverā ho gayā shāyad rihā.ī mil ga.ī us ko
dar-e-zindāñ pe koī rakh gayā hai beḌiyāñ us kī
hare mausam meñ manzar be-libāsī kā kahāñ mumkin
magar turfa hunar ye jāntī haiñ āñdhiyāñ us kī
KHamoshi guftugu hai be-zabani hai zaban us ki
main samjha tha ki mujh se muKHtalif hai dastan us ki
mere har samt phaili chandni hai ya hisar us ka
mera ehsas hai ya raqs mein parchhaiyan us ki
main KHud ko jaise apne pas hi mahsus karta hun
mere alfaz mein ras gholti hain shoKHiyan us ki
kahan meri tarah sab ko mila zaKHmon ka pairahan
yun kahne ko to sab par hai nigah-e-mehrban us ki
shikast-e-shisha-e-dil ki sada pahron sunai de
agar ek bar uTh jae nigah-e-mehrban us ki
sawera ho gaya shayad rihai mil gai us ko
dar-e-zindan pe koi rakh gaya hai beDiyan us ki
hare mausam mein manzar be-libasi ka kahan mumkin
magar turfa hunar ye jaanti hain aandhiyan us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.