KHamoshi ko jhinjhoDa ja raha hai
KHamoshi ko jhinjhoDa ja raha hai
Mohammad Ali Mauj Rampuri
MORE BYMohammad Ali Mauj Rampuri
ḳhamoshī ko jhiñjhoḌā jā rahā hai
havā meñ tiir chhoḌā jā rahā hai
tirī tasvīr ke haiñ rañg pyāse
bahāroñ ko nichoḌā jā rahā hai
banā kar dā.ere añgḌā.iyoñ ke
hisār-e-ḳhvāb toḌā jā rahā hai
purānī dāstānoñ kā ta.alluq
na.e qissoñ se joḌā jā rahā hai
yūñhī arzāñ nahīñ haiñ ye kitābeñ
hamārā zehn moḌā jā rahā hai
KHamoshi ko jhinjhoDa ja raha hai
hawa mein tir chhoDa ja raha hai
teri taswir ke hain rang pyase
bahaaron ko nichoDa ja raha hai
bana kar daere angDaiyon ke
hisar-e-KHwab toDa ja raha hai
purani dastanon ka talluq
nae qisson se joDa ja raha hai
yunhi arzan nahin hain ye kitaben
hamara zehn moDa ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.