KHamoshi ko kabhi guftar karna
ḳhamoshī ko kabhī guftār karnā
ġham-o-ālām ko dastār karnā
kisī se vasl kā va.ada agar ho
nibhāne se use inkār karnā
dil-o-jāñ se jise chāhā hai tum ne
usī kī zindagī dushvār karnā
diye the ġham jise tohfe meñ tum ne
ab us kā āḳhirī dīdār karnā
jo pal kar āstīñ meñ Das rahā ho
usī par sab se pahle vaar karnā
tamanna hai agar mahloñ kī tum ko
amīroñ se hamesha pyaar karnā
jahāñ par naam ke rishte hoñ 'ayyūb'
us āñgan meñ khaḌī dīvār karnā
KHamoshi ko kabhi guftar karna
gham-o-alam ko dastar karna
kisi se wasl ka wada agar ho
nibhane se use inkar karna
dil-o-jaan se jise chaha hai tum ne
usi ki zindagi dushwar karna
diye the gham jise tohfe mein tum ne
ab us ka aaKHiri didar karna
jo pal kar aastin mein Das raha ho
usi par sab se pahle war karna
tamanna hai agar mahlon ki tum ko
amiron se hamesha pyar karna
jahan par nam ke rishte hon 'ayyub'
us aangan mein khaDi diwar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.