KHamoshi saz hoti ja rahi hai
ḳhamoshī saaz hotī jā rahī hai
nazar āvāz hotī jā rahī hai
nazar terī jo ik dil kī kiran thī
zamāna-sāz hotī jā rahī hai
nahīñ aatā samajh meñ shor-e-hastī
bas ik āvāz hotī jā rahī hai
ḳhamoshī jo kabhī thī parda-e-ġham
yahī ġhammāz hotī jā rahī hai
badī ke sāmne nekī abhī tak
sipar-andāz hotī jā rahī hai
ġhazal 'mullā' tire sehr-e-bayāñ se
ajab ejaaz hotī jā rahī hai
KHamoshi saz hoti ja rahi hai
nazar aawaz hoti ja rahi hai
nazar teri jo ek dil ki kiran thi
zamana-saz hoti ja rahi hai
nahin aata samajh mein shor-e-hasti
bas ek aawaz hoti ja rahi hai
KHamoshi jo kabhi thi parda-e-gham
yahi ghammaz hoti ja rahi hai
badi ke samne neki abhi tak
sipar-andaz hoti ja rahi hai
ghazal 'mulla' tere sehr-e-bayan se
ajab ejaz hoti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.