KHamoshi ungliyan chaTKHa rahi hai
ḳhamoshī uñgliyāñ chaTḳhā rahī hai
tirī āvāz ab tak aa rahī hai
dil-e-vahshī liye jaatā hai lekin
havā zanjīr sī pahnā rahī hai
tire shahr-e-tarab kī raunaqoñ meñ
tabī.at aur bhī ghabrā rahī hai
karam ai sarsar-e-ālām-e-daurāñ
diloñ kī aag bujhtī jā rahī hai
kaḌe kosoñ ke sannāTe haiñ lekin
tirī āvāz ab tak aa rahī hai
tanāb-e-ḳhema-e-gul thaam 'nāsir'
koī āñdhī ufuq se aa rahī hai
KHamoshi ungliyan chaTKHa rahi hai
teri aawaz ab tak aa rahi hai
dil-e-wahshi liye jata hai lekin
hawa zanjir si pahna rahi hai
tere shahr-e-tarab ki raunaqon mein
tabiat aur bhi ghabra rahi hai
karam ai sarsar-e-alam-e-dauran
dilon ki aag bujhti ja rahi hai
kaDe koson ke sannaTe hain lekin
teri aawaz ab tak aa rahi hai
tanab-e-KHema-e-gul tham 'nasir'
koi aandhi ufuq se aa rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.