KHamoshiyon mein sawal kya hai koi na samjha
ḳhamoshiyoñ meñ savāl kyā hai koī na samjhā
hameñ hai kyā ġham malāl kyā hai koī na samjhā
sabhī ne ik ek rañg apnā banā liyā hai
magar ye rañgoñ kā jaal kyā hai koī na samjhā
javāb dene kī itnī jaldī paḌī thī sab ko
savāl ye hai savāl kyā hai koī na samjhā
pata thā sab ko siyāsī mohre bichhe hue haiñ
magar siyāsat kī chaal kyā hai koī na samjhā
kiyā thā chehra shanās hone kā sab ne da.avā
magar mire dil kā haal kyā hai koī na samjhā
KHamoshiyon mein sawal kya hai koi na samjha
hamein hai kya gham malal kya hai koi na samjha
sabhi ne ek ek rang apna bana liya hai
magar ye rangon ka jal kya hai koi na samjha
jawab dene ki itni jaldi paDi thi sab ko
sawal ye hai sawal kya hai koi na samjha
pata tha sab ko siyasi mohre bichhe hue hain
magar siyasat ki chaal kya hai koi na samjha
kiya tha chehra shanas hone ka sab ne dawa
magar mere dil ka haal kya hai koi na samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.