KHamoshiyon mein tamasha ada nikalti hai
ḳhamoshiyoñ meñ tamāshā adā nikaltī hai
nigāh dil se tire surma-sā nikaltī hai
fashār-e-tañgī-e-ḳhalvat se bantī hai shabnam
sabā jo ġhunche ke parde meñ jā nikaltī hai
na pūchh sīna-e-āshiq se āb-e-teġh-e-nigāh
ki zaḳhm-e-rauzan-e-dar se havā nikaltī hai
ba-rañg-e-shīsha huuñ yak-gosha-e-dil-e-ḳhālī
kabhī parī mirī ḳhalvat meñ aa nikaltī hai
KHamoshiyon mein tamasha ada nikalti hai
nigah dil se tere surma-sa nikalti hai
fashaar-e-tangi-e-KHalwat se banti hai shabnam
saba jo ghunche ke parde mein ja nikalti hai
na puchh sina-e-ashiq se aab-e-tegh-e-nigah
ki zaKHm-e-rauzan-e-dar se hawa nikalti hai
ba-rang-e-shisha hun yak-gosha-e-dil-e-KHali
kabhi pari meri KHalwat mein aa nikalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.